Kanz e Aza

ghunche chatak rahe hai gul muskura rahe hai

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

ghunche chatak rahe hai gul muskura rahe hai

roushan hai zarra zarra abbas aa rahe hai


pur noor hai fizaae maqmoor hai hawaae

ummul baaneen ke dilbar dunya me aa rahe hai


musdah khushi ka sun kar aakar dare ali par

masroor hai farishte aankhein bicha rahe hai


zehra tere karam se abbas ki sana ko

khinch kar qalam ki janib alfaaz aa rahe hai


haajat rawaai karne mushkil kushaai karne

mushkil kusha ke dilbar tashreef laa rahe hai


kaisa hasee'n hai manzar kya dilnashee'n hai manzar

aaghoshe murtaza me abbas aa rahe hai


abbas hi ke ruq par zainab ki hai nigaahe

shabbir muskura kar jhoola jhula rahe hai


masroor mujtaba hai kulsoom mutmaeen hai

bhai behan khushi se aansu baha rahe hai


aaghoshe fatima me aao sakina bibi

ham aapke chacha ki mehfil saja rahe hai


kahiye durood padh kar sab momineen mil kar

abbas aa rahe hai abbas aa rahe hai


beshak duaa e zehra unka naseeb hai jo

abbas ki sana ki mehfil saja rahe hai


aaqa ke ghar qushi hai qairaat kyu na lenge

is ghar ka sadqa hum to sadiyo se kha rahe hai