Kanz e Aza

ham ali ke deewane hadesou me palte hai

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

ham ali ke deewane hadesou me palte hai

qaar daar raahou par muskura ke chalte hai


kya samajh ke ye dunya ham pe zulm karti hai

ham wo hai ke dil jin ke mout se behalte hai


ham to kood padte hai aag me ali keh kar

baaz log hyder ke naam hi se jalte hai


aap aur ham kya hai kya bisaat hai apni

naame murtaza lekar ambiya sambhalte hai


zikre murtaza cheda kya bura kiya maine

aap is tarha pehlu kis liye badalte hai


damane ali jin ke hath me nahi hota

wo quda raseeda bhi hoke hath malte hai


aaj le ke jayega kuch na kuch to kirmaani

saail e ali bhi kya qali hath malte hai