hassan askari ko ye dilbar mubarak
ye dilbar mubarak ye safdar mubarak
imame zama'n apna paida hua hai
ye hai ba hawa'n sab ka rehbar mubaarak
hawae'n bhi jannat ki lehra rahi hai
ke qushbu se ghar hai moattar mubarak
hai aawaaze salwat har ghar se aati
tawallud ke hai naare ghar ghar mubarak
hai qatm imaamat imaame zama'n par
ye aaqir hamaara hai rehbar mubarak
ye hai maahe shabano maahe moazzam
qushi momino ko hai ghar ghar mubarak
nabuwat hai haafiz imamat ka maalik
tumhe ye qalifa payambar mubarak