hazrate kulsoom binte fatima paida hui
doosri shere quda ki dilruba paida hui
shor hai salwaat ka ghul hai mubarakbaad ka
noore chashme mustafa salle alaa paida hui
saanie zainab fidaai shabbaro shabbir ki
haamie dee'n shaafaye roze jaza paida hui
kaan me dekar nawaasi ke azaa'n qush hai nabi
qush abutalib hai poti mailaqa paida hui
hoke qush farmate hai maadar se ye hasnain aaj
doosri qaahar ba fazle kibriya paida hui
dekh kar zainab behen ko hoke qush kehti hai ye
quwwate baazu meri shukre quda paida hui
haq se baqshaaenge ye shehzaade aur shehzaadia'n
maghferat ko sabki aale mustafa paida hui
naaznee'n ye maa ki hai aur baap ki hai laadli
haq ki pyaari qalq ki haajat rawa paida hui