saanie zahra batoole dosara paida hui
qaahare shabbir binte murtaza paida hui
ya rasoolallah mubarak ho nawaasi apko
fatima ke ghar me binte fatima paida hui
maryamo hawwao saara aayi qidmat ke lie
duqtare qairunnisa faqrunnisa paida hui
jaane ismat roohe iffat qabile ashke nisa
misl apni maa ke ye bhi taahera paida hui
hai agar sibtain sardaar jawanaane jina
qush ho hoore'n aaj unki syeda paida hui
markaze ismat hai jo ismat ko jin par naaz hai
dehr me wo zeenate ismat sara paida hui
nusrate deene nabi ye bhi karegi ek din
aapki qaahar shaheede karbala paida hui
daamane ismat hai jinka chaadare baitul haram
wo hareeme taahera me taahera paida hui