Kanz e Aza

sakina hui aaj paida mubarak

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

sakina hui aaj paida mubarak

hai dil qush shahe karbala ka mubarak


hui saanie fatima aaj paida

bohot shaad hai roohe zahra mubarak


rabaab aur shabbir ki ye jaha'n me

hui duqtare maahe paarah mubarak


sakina ki taqdeer se chalan se

sadaqat ka izhaar hoga mubaarak


hai abbas jis shaahzaadi pe qurbaa'n

hui sheh ko beti wo paida mubarak