Kanz e Aza

sarkaar ali moula sarkaar ali moula

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

sarkaar ali moula sarkaaar ali moula

muqtarou ki dunya ke muqtaar ali moula


sadiyou se maka'n deen ka abaad hai ab tak

aamad se teri kaabe ka dil shaad hai ab tak

hasti hai abhi tak bhi deewaar ali moula


parwaaz kisi fikr ki waa'n ja nahi sakti

aqle bashari garde qadam pa nahi sakti

ooncha hai bohat tera mai'yaar ali moula


maida'n me ajab tarha ke manzar nazar aaye

pattou ki tarha udhte hue sar nazar aaye

jis waqt chali teri talwaar ali moula


hairaano paresha'n hue har baat pe har dam

sunte rahe meraaj me sarkare do aalam

hotou se tere rab ki guftaar ali moula


paighambare islam ka ham dard nahi hai

juz aap ke qaibar me koi mard nahi hai

is baat ka sab ko hai iqraar ali moula


hyder ko kaha'n chod ke tum jaoge bolo

har jaa'n nazar ayenge zara ankhe to kholo

is paar ali moula us paar ali moula


tu nafse quda waj'he quda aine quda hai

bachpan se madadgaare rasoole dosara hai

sar par hai wilayat hai dastaar ali moula


maidaan me manzar ye sabhi dekh rahe the

hathou pe nabi ke hai ali dekh rahe the

dushman ke thi chehrou par phitkaar ali moula


qaibar me ajab waqt hai islam ke upar

islam ke lashkar se pareshaa'n hai payambar

kuffar pe ho jaye yalghaar ali moula


masnad se nabi ki yahi aati hai sadaye

mimbar yahi kehta hua deta hai duaae

juz tere nahi koi haqdaar ali moula


tum chod ke moula ko kaha'n jaoge bolo

moujood wo har jaa'n hai zara aankh to kholo

is paar ali moula us paar ali moula