Bhala azeem hai kitna, Ali ka darvaza
Fazilato ne bhi dhoundha, Ali ka darvaza
1. Khade the log bohot intezar me lekin
Sitaara dekh ke utra Ali ka darvaza
2. Nabi ke shehr me tum kis tarha se jaoge
Ke raaste me padega Ali ka darvaza
3. Qasam hai qaanae Kaba tere tabassum ki
Khuda ke ghar me bhi dekha Ali ka darvaza
4. Halakato se bachane ke waaste khud ko
Fala'n fala'n ne bhi dhoundha Ali ka darvaza
5. Muqaalefeen bhi ye soch kar yaha'n pohche
Kabhi na band milega Ali ka darvaza
6. Rasool jab shabe meraj arsh par pohche
Faraaze arsh pe dekha Ali ka darvaza
7. Jo dushmanane Ali hai, kaha'n vo jaenge
Dare jina pe hai likkha Ali ka darvaza
8. Bilal Buzaro Salman sabhi khade the vahan
Jo mayne ghor se dekha Ali ka darvaza