Kanz e Aza

kaam mushkilou me aaye sabki bigdi banaye

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

kaam mushkilou me aaye sabki bigdi banaye

wo hai moula hamara ali ali

saari dunya bhulaaye use kuch bhi na bhaaye

wo hai moula hamara ali ali


qudrat ki banayi har sheh par, tu puri tarha se ghalib hai

murda zinda hoke jaaye, suraj bhaaga bhaaga aaye

jo ho tera ishara ali ali


wo jiske ek ishare par maghrib se palat aaaye sooraj

sou jaan nichaawar chand kare, qadmou me bichaye sooraj

aisa mojiza dikhaye kuch samajh me na aaye

wo hai rab ka dulaara ali ali


hai achi tarha maloom use kiski choukhat par jana hai

dar asl sitaare ka maqsad kuch logou ko tadpana hai

dil ki dhadkane badhaaye na jagaye na sulaye

karta jaaye ye sitara ali ali


mushkil ki ghadi jab aan padi islaam ko jange qaibar me

bhandaar ye lashkar dekh ke ek halchal thi dile paighambar me

sab the sar ko jhukaaye tabhi jibreel aaye

aur goonja ye naara ali ali


is dehar me jinke sham o sehar kat'te hai bughze hyder me

un chehrou par lanat barsegi ye haalat hogi mehshar me

khade honge sar jhukaaye aur kahenge haye haye

nahi jinko gawara ali ali


hontou par ali ka naam rahe is jism me jab tak jaan rahe

*naayaab* hamara tan man dhan sab moula par qurbaan rahe

mout ham ko na aaye jab tak ek baar

na dikhaaye rab rouza ali ali