kyu kar kahe na ahle wila ya ali madad
naame ali hai naame ya ali madad
naade ali ke maani hai kya ya ali madad
is waaste nabi ne kaha ya ali madad
tasbeehe fatima hai mere dil ke sath sath
is waste nabi ne kaha ya ali madad
toofa'n o batne maahi o zindaano aag me
ham kya hai ambiya ne kaha ya ali madad
shere quda ne sher se unko bacha liya
salma'n ne dasht me jo kaha ya ali madad
hota hai faiz is pe janabe ameer ka
deta hai jab faqeer sada ya ali madad
pohancha haram me uski ziyarat hui qubool
zaaer ne jab najaf me kaha ya ali madad
qadmou ko mere choom raha tha pule siraat
kehte hue mai jab ke chala ya ali madad