mere lab par to rehta hai sub'ho masa ya ali ya ali ya ali ya ali
banda parwar yahi hai wazeefa mera ya ali ya ali ya ali ya ali
kaam aaya hai jiske azal se yahi, aur ab tak yahi jis ke kaam aayega
hai yahi ibteda aur yahi intehaa'n ya ali ya ali ya ali ya ali
aap maane na maane haqiqat hai ye, qud asar peshwaayi ko aajayega
dekhiye keh ke ek baar baad az dua ya ali ya ali ya ali ya ali
meri baali'n pe jab aaya moula mera, nazah ki mushkile kitni asaa'n hui
sar ko rakh kar qadam par jo maine kaha ya ali ya ali ya ali ya ali
baabe jannat pe jis waqt dekha mujhe, raasta dediya hat ke rizwaan ne
aap ki mad'ha ka ye mila hai sila ya ali ya ali ya ali ya ali
meri haalat pe bhi reham farmaaiye, mujhko bhi apne rouze pe bulwaaiye
mere mushkil kusha mere haajat rawa ya ali ya ali ya ali ya ali
jab ye pucha gaya iska matlab hai kya, qul kafa hal ata innama laa fata
muskura kar jawaaban ye maine kaha ya ali ya ali ya ali ya ali
aap kya hai haqeeqat hai kya apki, qud mashiyat ka bhi hai ishaara yahi
mustafa ko bhi mushkil me kehna pada ya ali ya ali ya ali ya ali