ali ali hai ali ali hai ali ali hai ali ali hai
nabi ka waris quda ka mazhar ali ali hai ali ali hai
ghadeere qum ka haseen manzar
saja kajaawou ka ek mimbar
bulandiou par gaye jo hyder
kaha payambar ne muskura kar
har ek ka moula mera ye dilbar
ali ali hai ali ali hai
ali ke maani hai sab se aala
ali ka matlab hai sab se ooncha
ali hai mushkil kusha hamara
ali sahara hai ambiya ka
hai jis pe nazaa'n quda e bartar
ali ali hai ali ali hai
na hota koi bhi maareka sar
na sath deta jo ye ghazamfar
ho jange qandaq ke jange qaibar
yaha bhi hyder waha bhi hyder
wo farde tanha quda ka lashkar
ali ali hai ali ali hai
quda ki aankhe quda ka chehra
quda ka bazu quda ka lehja
quda ki rehmat ghazab quda ka
wo hubahu kibriya ka jalwa
sifaate rab ka hai koun mazhar
ali ali hai ali ali hai
ajeeb bhi wo ghareeb bhi wo
wo baaghbaa'n bhi adeeb bhi wo
wo momino ka naseeb bhi hai
wo door bhi hai qareeb bhi hai
zameen ka rab falak ka dawar
ali ali hai ali ali hai
sajaya rab ne haseen gulshan
mehak raha hai nabi ka aangan
hai tez hoorou ke dil ki dhadkan
hai jaisa dulha hai waisi dulhan
jo jiski hamsar nabi ki duqtar
ali ali hai ali ali hai
kisi ne poocha ke kya hai quraa'n
wo koun hai jo hai jaane imaa'n
wo koun hai jo hai shere yazdaa'n
wo koun hai jo hai shahe mardaa'n
kaha jawaaban ye maine has kar
ali ali hai ali ali hai
hai kiski sab se siwa fazeelat
wo kispe naaza'n hai qud mashiyat
wo kiski parde me hai haqiqat
badhi hai kaabe ki kis se azmat
kaha ye kaabe ne muskura kar
ali ali hai ali ali hai
quda ke dee'n ko baqa nahi hai
jo mazhare kibriya nahi hai
ali ki qudrat me kya nahi hai
magar wo phir bhi quda nahi hai
falak ka maalik zamee'n ka mehwar
ali ali hai ali ali hai
ali ke dar ki mile gadaayi
to thokrou me hai baadeshahi
ali ko dunya samajh na paayi
ali ke qabze me hai qudaayi
zameen se hadde aasma'n par
ali ali hai ali ali hai
ali to banda nawaz bhi hai
ali bhi aine namaz bhi hai
ghareeb ka chaara saaz bhi hai
ali mashiyat ka raaz bhi hai
qaseeme jannat kafeele mehshar
ali ali hai ali ali hai