Chain dunya me mile raahate uqba mil jaaye
shiddate ishq mile gham ka saleeqa mil jaaye
kaasae dil liye haazir hai dare doulat par
fatima aapki aulaad ka sadqa mil jaaye
maryam zara sambhal ke adab ka maqaam hai
ye baargaahe duqtare qairul anaam hai
tum maadare nabiye quda ho to kya hua
unka pisar tumhaare pisar ka imaam hai
hzt ali(as)
Dono ki nigaaho me furqat ke gile honge
takmeele tabassum ko do hont mile honge
kaabe se koi pooche us wazl ke manzar ko
jab noor ke do tukde aapas me mile honge
Ali na naam na loge agar duao me
ghire rahoge khuda ki qasam balaao me
sukoon dil ko nazar ko qaraar milta hai
ye baargaaho me dargaaho me alaawo me
safar taweel hai raahe najaat choti hai
ali ka zikr bohot hai hayaat choti hai
Ali kaise mai moulae kaayenaat kahu
bada hai naame ali kaayenaat choti hai
berang tha hayaath ka naqsha tere baghair
khaamosh tha rasool hamaara tere baghair
aye qalbe mustafa ki tamanna qushaamadeed
sadiyo se beqaraar tha kaaba tere baghair
haaira'n thi fatima ke haram me kidhar se jaaye
deewaar keh rahi hai ke bibi idhar se aaye
ghairo ke waaste hai ke jo aaye dar se aaye
lekin ye alhebait hai chaahe jidhar se jaaye
phir ek baar sooe najaf dekhna pada
shere quda ko teghe bakaf dekhna pada
jab mil saka na hazrate abbas ka jawaab
mud kar mujhe ali ki taraf dekhna pada
kya sharaf kaabe ne paaya ye sharaf paane ke baad
qaabile sajda hua ek baar muskaane ke baad
khulke phir se mil gayi deewaare kaaba ya ali
ek tere aane se pehle ek tere aane ke baad
abhi to binte asad thi tawaafe kaaba me
ke pattharo me khushi se ajeeb laali thi
quda ka shukr ke ek simt ruk gayi warna
har ek simt se deewaar phatne waali thi
naame ali ko sunke mai aayi hu door se
bhar do hamaari jholi mohammed ke noor se
ya rab rasoole paak ki kheti hari rahe
sandal se maang bacho se godi bhari rahe
ali se pehle ibaadat ka ehtemaam na tha
abad rasool ka qaaliq ka ehteraam na tha
namaz qaayam bhi hoti to kis tarah hoti
quda ka ghar to bana tha magar imam na tha
mimbar ghadeere qum ka charcha ali ka hai
lab mustafa ke aur qaseeda ka hai
masjid ali ki qaanae kaaba ali ka hai
sajdo pe har lehaaz se pehra ali ka hai
zikr hyder ka chida jab bhi sanaqaano me
jama mid'hat ke chale masjido maiqaano me
qum me baqqin bhi unho ne dabo lafzo me kaha
jinke armaan dabe reh gaye paalaano me
Imam mehdi(atf)
Abuturaab ka qaayam maqaam zinda hai
isiliye to quda ka payaam zinda hai
ye inteqaame mashiyyat nahi to aur kya hai
qalifa mar gaye mera imaam zinda hai
ye baat maanleejiye takraar ke baghair
mehshar na hoga baarwe sarkaar ke baghar
qaayam yahan sajaayenge abbas ka alam
kaaba bana hai isliye meenaar ke baghar
abbas aur asghare besheer ke siwa
ladkar dikhaaye koi to talwaar ke baghair
wajoode haq se ye saara nizaam qaayam hai
kisi ke faiz se ye intezaam qaayam hai
wo aur honge yateemaane maz'habo millat
hamaare sar pe hamaara imaam qaayam hai
tasawwuraat ki dunya tere hawaale hai
jo dil me hai wo tamanna tere hawaale hai
mujhe yaqeen hai sun lega tu meri aawaz
mere imaam areeza tere hawaale hai
armaane dile dile hyder karrar hai abbas
shabbir ke lashkar ka alamdar hai abbas
saahil pe hai tu aur nahi paani pe saaya
saaya bhi tera kitna wafadar hai abbas