saaghar maye ghadeer se chalka ke pee gaya
saaqi ke har hareef ko tadpa ke pee gaya
har dushmane sharaabe wila ne bura kaha
mai muskura ke jhoom ke lehra ke pee gaya
jab bhi mili hai fursate baadah kashi mujhe
mai shukr ki namaz baja laa ke pee gaya
is maikashi pe meri musalmaa'n the motariz
mai chaadare rasool me chanwa ke pee gaya
chaaro taraf the zulm ke pehre lage hue
mai sabr ke hudood me balkha ke pee gaya
kousar bhi mera saqqiye kausar bhi hai mera
chaaha to jibraeel se manwa ke pee gaya
baalee'n pa aa khadi thi ajal qatm thi hayaat
mai thodi der mout ko behla ke pee gaya
the mere sath jaam bakaf ambiya tamaam
mai apni paar saai bhi manwa ke pee gaya