sabki zabaa'n pe aaj hai kalma rasool ka
harsoo dikhayi deta hai jalwa rasool ka
dil ki muraad pal me yaqeenan bar ayegi
dekho dua me deke waseela rasool ka
sardaare ambiya hai jo sarkaar ka laqab
rutba hai har lehaaz se ooncha rasool ka
manzil shifaa'atou ki jab aayegi hashr me
us waqt kaam aayega kunba rasool ka
zikre quda jo baaqi hai dunya me har taraf
ye mojiza hai aaj bhi zinda rasool ka