Kanz e Aza

saniye hyder hassan ka dilbar paida hua

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

saaniye hyder hassan ka dilbar paida hua

aaj daamade shahe karbobala paida hua


qasime mehroo ali ki bolti tasweer hai

ghar me zehra ke nusairi ka quda paida hua


husne yusuf jis pe hota hai tasadduq baar baar

wo hasee'n wo meh jabee'n wo mehlaqa paida hua


saniye zehra se kehte hai ye qush ho kar hassan

nasire shabbir mera mud dua paida hua


fat'ha ka sehra bandhega jis ke sar ashoor ko

faatahe karbobala wo laa fata paida hua


misle haidar jisne arzaq ko do tukde kar diya

wo jari wo saniye qaibar kusha paida hua