ab hayaate deene paighambar ka saamaa'n hogaya
leejiye pura dile shabbar ka armaa'n hogaya
qasime gul pairahan har rang me hai laa jawaab
sal'e shabbar jange shabbiri ka unwaa'n hogaya
baaghe paighambar me qaasim agaye misle bahaar
ab sukoone qaatire zainab ka saamaa'n hogaya
hogayi haasil use kuch maarefat sibtain ki
hazrate qasim ka jis insaa'n ko irfaa'n hogaya
jo imaamat ka chaman tha jo risalat ka bahaar
maqsade shabbir par wo phool qurbaa'n hogaya
wo na samjha tha ke pota bhi ali ka hai ali
azme hyder dekh kar arzaq pareshaa'n hogaya
shafiye mehshar ke dil ka ek tukda ye bhi hai
meri baqshish ka yaqeenan aaj samaa'n paida hua