do aalam hai farhaa'n payambar hai shaadaa'n ali aa rahe hai
nikal jaayenge aaj kaabe ke armaa'n ali aa rahe hai
nabi apne bhai ko hathou pe lenge, ali dekh mustafa ko hasenge
hai deeware kaaba masarrat se qandaa'n ali aa rahe hai
ye zulme baatil na kaaba sahega, quda ke makaa'n pe na qabza rahega
buto taqliye ka karo tum bhi samaa'n ali aa rahe hai
jalalat ke tewar se marhab hai shashdar, wo haibat ka aalam ke hairaa'n hai antar
ajab roub hai baabe qaibar hai larzaa'n ali aa rahe hai
wo hai noore afsha'n gore risalat, masarrat se ubhri hai mohre nabuwat
hai kaaba bhi apne muqaddar pe naaza'n ali aa rahe hai
ali ke liye qud payambar badhenge, nabi nafs ko apne ab dekhlenge
mujassam hue hai mohammad ke armaa'n ali aa rahe hai
badhi peshwaayi ko qud kamyaabi zamee'n par qadam rakhti hai buturabi
na kyu qaake makka ho qismat pe naaza'n ali aa rahe hai
mohibbo ki mehfil badhi pur ziya hai, ali ke taswwur ka jalwa hua hai
dilou me masarrat se ab hai charaghaa'n ali aa rahe hai
malaik me ek shor salle alaa hai, yahi to haqeeqat me waqte dua hai
quda ki hai rehmat ke darya me toofa'n ali aa rahe hai
ali me hai *baqar*jalaale qudai, kalaai me hai zore qaibar kushai
hui mushkile sab payambar ki aasaa'n ali aa rahe hai