Kanz e Aza

ham hai moula ke diwaane

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

ham hai moula ke diwane dunya kya jaane

ham hai aaqa ke deewane dunya kya jaane


ye dunya kya jaane hame kya pehchane

ham hai panjetan ke diwane dunya kya jaane


hame kya milta hai sarwar kisiko kya pata huzoor

jis ke dil me bughze ali ho wo ye kya jaane


ali walo abhi jao hath me jaam uthaao

khule hai aaj yaha maiqaane dunya kya jaane


naaraye hyderi kaho aaj sab mil ke mohibbo

ye naara lagta kitna pyara dunya kya jaane


lahad tak aye mere moula na choote daman tumhara

yahi hai baqshish ka sahara dunya kya jaane


lahad me noor apka ruq e purnoor apka

yahi hai jannat ka nazaara dunya kya jaane


kaat'te hai sabhi chakkar gird kaabe ko jo jakar

kis ki hai ye wiladat ki jaa dunya kya jaane