karta hu mai tumhari sana murtaza ali
ho jaaye kuch mujhe bhi ata murtaza ali
moula tumhare aane ki ye shaan ye weqaar
dar bangaya haram me naya murtaza ali
do ungliyou ka zor dikhaya tha aap ne
qaibar ka dar bhi kaamp utha murtaza ali
hijrat ki shab rasool ke bistar ne bhi kaha
aajaiye baraa e quda murtaza ali
badbaqt hai wo shaqs jo din bhar me bhi na le
apni zaba'n se naam tera murtaza ali
maidaan me ghadeer ke lakhou ke rubaroo
tum ko wasi nabi ne kaha murtaza ali
baalee'n se meri mout bhi sun kar palat gayi
lab par mere faqat thi sada murtaza ali
mai hu andheri qabr me imdaad kijiye
koi nahi tumhare siwa murtaza ali
munkir nakeer karte rahe jaane kya sawaal
mera yahi jawaab raha murtaza ali