mai kis tarha se batau ke kya ghadeer se hai
quda ka deen to kya qud quda ghadeer se hai
azaa'n me naame ali sunke jo machalte ho
tumhara zaqm abhi tak hara ghadeer se hai
batau ek hi misre me kya munafiq hai
wo kalma goh hai magar bhaagta ghadeer se hai
laga raha hai jo fatwe hussain ke gham par
qasam quda ki use mas'alaa ghadeer se hai
tu jisko dhoond raha hai aye sheq masjid me
bahisht jaane ka wo raasta ghadeer se hai
ali ke lehje me bola jo barsare meraaj
nabi ke lehje me wo bolta ghadeer se hai
raabta qud karega us se quda
gar tera raabta ghadeer se hai
fat'he qaibar ke maal se ulfat
shaiq ji ko gila ghadeer se hai
aapka kya shaiq moulvi saahib
ambiya ki baqa ghadeer se hai
kuch nahi deen karbala ke baghair
aur khud karbala ghadeer se hai