deewane hai deewane ham hai ali ke deewane
ham se zamana qayam hai ham ko ye dunya kya jaane
daar pe bhi hotou pe hamare sirf ali ka naam raha
ham ko na hargiz dunya walo qoufp ghamo alaam raha
wird hamara naade ali hai naade ali se kaam raha
mit jaoge naadano aao na ham se takraane
jab hai ali ka zikr ibadat kyu na usi ki baat karen
aao ali ke naqsh qadam doshe nabi ki baat karen
chodo sab yarou ke qisse sirf ali ki baat karen
ek mid'hat ka quraa'n hai baqi sab hai afsaane
koun ali hai kya hai ali ham ne tum ne kab jaana
sirf quda ne aur nabi ne zaate ali ko pehchaana
itna asaa'n kaam nahi hai hadde nusairi tak aana
kis me itni himmat hai ek bande ko rab jaane
binte nabi hai zouja inki sibtain inke dilbar hai
maryam hawwa aasiya saarakya zahra ki hamsar hai
binte falaa'n aur binte falaa'n sab shehzadi se kam tar hai
deen ko izzat baqshi hai ghar me rehkar zahra ne
ye bhi sach hai sab ne ali ki tegh ka loha maana hai
ye bhi sahi hai sab ne ali ko mout pe girte dekha hai
ye bhi sach hai maghrib ka jo ek mooraq kehta hai
jange ohad se bhaage kuch chehre jaane pehchaane hai
mazile mushkil me jab hamne naam liya hai hyder ka
qandaq ko chakkar sa aaya kaamp utha dil qaibar ka
qabr me chounki laashe marhab kaampa murda antar ka
marhab o antar dushman the aap lage kyu ghabraane