quda ka pyara nabi ka dilbar ali ali hai ali ali hai
jaha'n ka hadi jina'n ka rehbar ali ali hai ali ali hai
iska sarmaya hai nabuwat wahi hai manqaahe ilm o hukmat
madina e qatmi maaab hyder ali ali hai ali ali hai
wo malike masnade mohammmad wo zeenate farshe qaabe ahmad
hai marziye haq ko naaz jis par ali ali hai ali ali hai
kisi ka ba'as kisi ka mubda kisi ka maawa kisi ka malja
kisi ka masja kisi ka masdar ali ali hai ali ali hai
nabuwat iski risalat iski imamat iski wilayat iski
qulasaye kainaate dawar ali ali hai ali ali hai
wo raaz bhi raazdaar bhi hai wo jaan bhi jaa'n nisaar bhi
madaare amre habeeb e dawar ali ali hai ali ali hai
wasi bhi damaad bhi wali bhi wo zahir o batin nabi bhi
rasool ka tan rasool ka sar ali ali hai ali ali hai
hai uski seerat nabi ki seerat wo sar se taaba waj'he qudrat
kisi ka saani kisi ka mazhar ali ali hai ali ali hai
bashar ka waali malak ka aaqa zamee'n ka maalik falak ka moula
kafeel e barzaq ameere meh'shar ali ali hai ali ali hai
ba ghour jisne ali ko dekha mohammad e hashmi ko dekha
nabi ka parda nabi ka mehzar ali ali hai ali ali hai