fatima ke gulshan me kya bahaar aayi hai
haq ne shaadmaani ki ye ghadi dikhaai hai
kis ki ye vilaayat hai jamma hai mohib kaise
rehmate quda dekho saare jag pe chaai hai
aaj baaghe zahra me bul bule hazaaro ne
tehniyat ke naghmo se dhoom ek machaai hai
keh rahe hai aapas me hoor aur malak baaham
ye ali ki hai beti fatima ki jaai hai
shaad hai mere moula haq ne ki ataa duqtar
rehmate quda dekho aaj ghar me aai hai
kyu na ho bhala *noori* noor se jo hua paida
fatima ki beti me shaane murtaza aai hai