baquda ali sa banda -na hua na hai na hoga
koi phir haram me paida-na hua na hai na hoga
sare daar mad'he hyder me jo padh rahe hai meesam
koi aisa phir qaseeda-na hua na hai na hoga
jo rida ali ne odhi, to sabhi rasool samjhe
kisi aur par ye dhoka-na hua na hai na hoga
bika nafs murtaza ka to malak pukaar utthe
sar arsh aisa souda-na hua na hai na hoga
hai bahisht se bhi badhkar, teri rotiyo ki qeemat
koi maal itna mehnga-na hua na hai na hoga
ye zameene karbala hai, ye zameene karbala hai
koi arsh isse ooncha-na hua na hai na hoga