Kanz e Aza

umme laila ka pisar kya sahibe touqeer hai

A qasida for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

umme laila ka pisar kya saahibe touqeer hai

hubahu tasweere ahmad dilbare shabbir hai


dekh kar soorat ali akbar ki kehte the hussain

aye ali akbar mere nana ki tu tasweer hai


aagaye akbar hussain ibne ali ki god me

daamane qura'n me goya aayate tat'heer hai


zaahiri dunya samajhti hai ali akbar jiye

chalti phirti ahmade muqtar ki tasweer hai


jaa rahe hai ran ko akbar fat'ha ya rab naseeb ho

aapke peeche duae hazrate shabbir hai


mustafa ki jung pehli baar aaegi nazar

aaj hamshakle nabi ke haath me shamsheer hai


namuraadi noujawani tashnagi ifraate gham

dard ki dunya hai to ek dard ki tasweer hai


jashn me is se zyada keh nahi sakta hu mai

qaabe akbar qaabe ibrahim ki tabeer hai


hai nabi ke qalb par quran to qalbe nabi

teri wo touqeer hai qura'n ki jo touqeer hai