noor ki hai ye mehfil hai yaha'n ali akbar
jashn ka hasee'n unwaan noujawa'n ali akbar
tera jashn karte hai bazm ham sajaate hai
ilteja hai tu aaja ab yahan ali akbar
karta hu sana teri or yaqeen hai mujhko
hai malaaeka meri hamzabaa'n ali akbar
aaj phir zaroorat hai muntazar sama'at hai
phir se lehne ahmad me de azaa'n ali akbar
husn hai mohammad ka aur sin hai zahra ka
kya raqam karu teri qoobiya'n ali akbar
kalmagoh mohammad ke ghar bulaaenge tujh ko
denge kis tarah aaqar wo azaa'n ali akbar
aati hai wahan zainab saath umme laila ke
tere zikr ki mehfil ho jahan ali akbar
shaad ibne hyder hai aaj jashne akbar hai
muskuraake kehti hai har zabaa'n ali akbar
tu saqi ka pota hai tu saqi ka beta hai
bhar de aaj in sab ke jholiya'n ali akbar
haazereene mehfil ki har muraad bar aaye
dekhe'n jald sab tera aastaa'n ali akbar