qairunnisa ka jashne vilaadat hai momino
quraa'n me jiska zikr tahaarat hai momino
jisme nabi ki soorato seerat hai momino
wo aalame nisa ki hidaayat hai momino
jis dil me fatima ki mohabbat hai momino
wo dil nahi hai asl me jannat hai momino
tazeem jiski karte hai paighambare quda
maqsoos syeda ki ye azmat hai momino
daryaae noor ka dur ekta hai fatima
ye gouhare yagaanae ismat hai momino
tasbeehe fatima se ibaadat qubool hai
ye bhi rasoole paak ki sunnat hai momino