noore chashme dilbare shaahe umam paida hua
jis ka asghar naam hai wo zee hasham paida hua
yu'n gale mil mil ke kehte hai malaek quld me
ho mubarak dilbare shaahe umam paida hua
jaane abid quwwate bazu e hamshakle nabi
baqare zeejaah ek aur amm paida hua
hath me jiske lo wo alhamd hoga hashr me
aaj wo abde qudaye zulmenan paida hua
chaadare rehmat hai jiski zaate ummat ke liye
aaj is dunya me wo aata e taaham paida hua
zeenate arshe ilaahi malike naare o jinaa'n
lahad e yazdaa'n sahibe loho qalam paida hua
jis ka markab raakibe doshe shahe loulaak hai
aaj wo zee shoukat o shaan o hasham paida hua