moula ke ghar me phool wafa ka khila hai aaj
aaghosh me ali ke ali ki dua hai aaj
kaaba hai baargahe qasida dua hai aaj
allah ko pasand namaze wafa hai aaj
roushan raha hai yu'n to hamesha ali ka ghar
ek roushni chiraaghe wafa ki siwa hai ghar
aflaak qam hai sajdae tazeem ke liye
moula ke ghar zahoore quda e wafa hai aaj
abbas par nigaah behan bhaiyou ki hai
sab ki nazar me marekaaye karbala hai aaj
paikar dua ka jisne na dekha ho dekhiye
daste quda ke hath pe in ki dua hai aaj
aankhein thi band bhai ke deedar ke liye
ye ehtemaam qaas bhi zahir hua hai aaj
batla diya ke meri nazar bhi hai bawafa
pehle ruqe hasnain mujhe dekhna hai aaj