hubahu jo shabihe ali hai, baaghe aalam me paida hua hai
mushkile dekh kar keh rahi hai, doosra ye to mushkil kusha hai
apne qaime se tewar badal kar, aaye maida'n me abbas jis dam
bole marhab sifat lashkari sab, ye to haidar nazar aa raha hai
pani chullu me lekar jo phainka, goya darya pe maara tamacha
reh gayi sar patak ti hi mouje, pyasa darya se wapas hua hai
momino ke dilo hi se pucho, kisko kehte hai joshe masarrat
jashne abbas ki ab khushi hai, bazm me shor salle ala hai
dusri padh ke naade ali ab, isko aawaaz dete hai momin
hoke bedast girte huwou ka, mushkilo me yahi aasra hai
baandhna laazmi hai waha'n to, sabko ehraam haj e wafa ka
rouza abbas ka karbala me, ek kaaba wafa ka bana hai
tumko ummul banee'n ho mubarak, isse badh kar bhi kya hogi nisbat
ye to farzand hai wo tumhara, jisko zahra ne beta kaha hai