aazmaya hua naam kaam agaya zoufe mid'hat ko yu'n mud'dua milgaya
ya ali keh ke maine uthaya qalam mad'he abbas ka housla mil gaya
mai ne abbas ka waasta de diya , meri taqdeer me jo na tha mil gaya
jo hamesha se qismat ke qaa'il rahe, un ko kaise bataau ke kya mil gaya
mai ne baabul hawaaij ko aawaz di, panjetan ka dare faiz waa hogaya
ek waseele se kitne waseele mile,jo bhi maanga tha is se siwa mil gaya
roze mehshar qayamat ki thi tashnagi, aur deedare saaqi ki lou thi lagi
naame abbas le kar mai aage badha, taaba kousar mujhe raasta mil gaya
wo ali o wali ho ke abbas ho, naam badle magar kaam badla nahi
jab bhi mushkil kusha ki zarurat hui, is gharaane me mushkil kusha mil gaya
hai ali murtaza mazhare kibriya, aur abbas hai mazhare murtaza
mujhko abbas ka aastaa'n kya mila, taaba maabood ek silsila mil gaya
jab wafa ka kahi'n tazkera chid gaya, baat pohanchi beher haal abbas tak
justaju karne walo ko manzil mili, chaaand ki chandni se pata milgaya
aasma'n me hai roushan zamee'n ka qamar, aur zamee'n par roushan ali ka qamar
yu'n zamee'n ko jo hasil hua ye sharaf, aasmaa'n se bada madeena mil gaya