Kanz e Aza

hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai

A qasida for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

hai jashne vilaadat me joshe masarrat -hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai

ab islam mehfooz hai taa qayamat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


hai chehre se himmat ke tewar numaaya'n, na kyu kar ho koofe ki deewaar larza'n

ke ab dil me lekar ali ki shujaa'at,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


na kyu kar ho qurban doure zamaani, fida ho rahi hai iram hi jawani

mila tujh ko sardaar aye baaghe jannat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


na ho kis tarah shor salle alaa ka, har ek simt hota hai ghul marhaba ka

na kyukar ho mehfil me ab joshe mid'hat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


falak se sada ghaib ki aa rahi hai, ke haqqaniyat ab mujassam hui hai

masarrat se ubhri hai mohre nabuwwat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


inhi ki kahani zamana kahega, bas ab hashr tak naam inka rahega

karenge ye dinya ke dilo par hukoomat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai


jahannum me sota rahega jo shab bhar, sahar ko wo jaagega jannat me aakar

badal denge ek roz ye hur ki qismat,-hussain aa gaye hai hussain aa gaye hai