nabi hai na to kibriya kya karega
bata to ali ki sana kya karega
mere hath me murtaza ka hai daman
bigad kar zamana mera kya karega
nabi o ali hai nahi farq koi
koi bhaiyou ko juda kya karega
nusairi ki jab kuch samajh me na aaya
ali ko quda keh diya kya karega
qudaayi ka muqtaar mera ali hai
ali ka koi saamna kya karega
quda mout de dushmanane ali ko
saeed isse badhkar dua kya karega