ho mubarak binte shaahe karbala paida hui
duqtare shabbir jaane fatima paida hui
sheh ne rakkha hai sakina naam is moulood ka
noore chashme qamise aale aba paida hui
momino me har taraf shore mubarak baad hai
shahe waala lo wo chashme ziya paida hui
hai khushi ka roz ye aur hai masarrat ki ghadi
qasime naar o jina'n ki dilruba paida hui
hai bohat masroor shaadaa'n ab shahide karbala
sab ke sab khush hai ke sheh ki mailaqa paida hui
zainabe zeejaah deti hai mubarak baad ab
kehti hai bhai mubarak dilruba paida hui
hazrate kulsoom bhi kehti hai ab ye shaah se
bhaijaa'n tumko mubarak mailaqa paida hui