Kanz e Aza

ho mubarak qalq ka hajat rawa paida hua

A qasida for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ho mubarak qalq ka hajat rawa paida hua

momino ka aatwa ye rehnuma paida hua


noor se saara jaha'n roushan hua taa aasmaa'n

aaj dunya me wo noore kibriya paida hua


kyu na qush ho mominee'n hai aaj jashne shaahedee'n

musie kazim ka ab ye mailaqa paida hua


kya haqeeqat husne yusuf ki bhala peshe raza

noore haq shaahe huda yusuf laqa paida hua


haatife ghaibi nida deta hua phirta hai yu

shaad ho sab mominee'n haajat rawa paida hua


ab hue paida janabe hazrate moosa raza

shor ek salle alaa ka jaabaja paida hua


noor se saara jaha'n ab ek ba ek roushan hua

jis ghadi ye maahe nu noore quda paida hua


haajate'n shio ki bar laaye quda ab jald tu

iske sadqe me jo shaahe dosara paida hua


kya jahannum ka tujhe dar aye naseebe khush naseeb

aaj baalaae zamee'n moula tera paida hua