aathwe peshwa shaahe hardosara ya imame raza ya imame raza
naayebe murtaza sab ke haajat rawa, ya imame raza ya imame raza
kya mubaarak mahina hai zeeqaad ka jis me paida hue hai imame raza
hai khushi momino me ye sub'ho masaa, ya imame raza ya imame raza
noor se aapke ae shahe do jahan, hogaye hai munawwar ye kouno makaa'n
waj'he rab noore haq noore qairul wara, ya imame raza ya imame raza
noore awwal se hai silsila aapka, kitna aali hasab aur nasab aapka
kaise mid'hat baya'n hogi mujh se bhala, ya imame raza ya imame raza
qalq ke aap hai jo hajat rawa, tere dar pe sawaali hai shaah o gada
maalike do jahan maz'hare kibriya, ya imame raza ya imame raza
hai zamanat me moula ye sab mominee'n, uqde poore karo ya imaame mubee'n
ho shifa'at hamaari bhi roze jaza, ya imame raza ya imame raza
bas yahi ilteja hai imame ghareeb, phir se moula ho mujhko ziarat naseeb
jald mujh ko mile ye mera muddua, ya imame raza ya imame raza