jashne qayam kiye jaaiye dhoom se zarre ke sooraj bana dijie
jiski mehfil saji hai wo aajaenge, raah me apni aankhe bicha dijie
kar raha hu raqam manqebat aapki, mere aaqa mujhe housla dijie
chaand narjis ke aur askari ke pisar, apne daaman ki mujhko hawa dijie
sooni sooni hai har simt raahe'n bohot, muntazir hai ye pyaasi nigaahe'n bohot
inki bechainio par taras khaaiye, pyaas aankho ki fouran bujha dijie
hasrate deed qayam hai rakkhe bharam, aye imame zama'n kijie ab karam
karwate'n leti hai deed ki hasrate'n, aaiye ruq se parda utha deejie
dekho unki tadap shaahe kouno maka'n, jo hai bechain inka na lo inteha'n
mar chuke ho jo hasrat lie deed ki, unko aawaz dekar jila dijie
aap hi se hai qayam ye kouno maka'n , aapke noor se hai ye roshan jaha'n
meri qismat jagaane ab aajaiye, mere ghar ko bhi jannat bana dijie
apne shaayar pe keeje nigaahe karam, is jasaarat ka rakhleeje aaqa bharam
ilteja hai ke sunka qasida mera, kuch na kahie faqat muskura dijie
zaqm dil ke mai aaqa dikhaau kise, kahie roodaad dil ki sunaau kise
kab se bechain hu de raha hu sada, aaiye dekhie aasra dijie