Phir ek hai shahadat haay zulm saqeefa hua zehra ke ghar me loogo
moula jaffer e sadiq a.s ko mansoor ne dokhe se qatil zaher diya
haay zulme saqeefa hua zehra swt ke ghar me logo
1) ruqsat hua jahan se jab ilm ka kazeena
dooba hua tha saara is soog me madeena.
aal e ahmed e mursal ko ummat se aaj phir yeh sadmaa naya mila.
haay zulm saqeefa hua zehra swt ke ghar me loogo
2) us shaakhs tak hamari pahuchegi na vilayat
jis ne namaz e rab ki jaani nahi fazeelat
ankhe khoolkar moula ne bete ko wasiyat me paigaam yeh diya.
Haay zulm saqeefa hua zehra swt ke ghar me loogo
3) rooti hai umme farwa asma bhi fatema bhi
hai aakhri ziyarat baqir a.s ke laadle ki
baba moosa e kazim swt ka mazlooma ka sahara duniya se chal basa
haay zulm saqeefa hua zehra swt ke ghar me loogo
4) 15 shawwal ko yeh zaalim ne zulm dhaya
zindaa ki zulmat o se deen ka diya bhujaya
matam waris e azam ka baqir swt ke janesheen ka karte rahe bapaa.
Haay zulm saqeefa hua zehra swt ke ghar me loogo
5) moula ki hi ataa hai yeh majlis e yeh matam
ahsaan bhulaaye kaise sadiq swt imam ka ham
ya rab tu dikhaa de baqaiyya jawad mangte hai sab maatmi dua.
Haay zulm saqeefa hua zehra s.a ke ghar me loogo
phir ek hai shahadat haay zulm saqeefa hua zehra s.a ke ghar me loogo
moula jaffer e sadiq swt ko mansoor ne dhooke se qaatil zaher diyaa
haay zulm saqeefa hua zehra swt ke ghar me loogo