jafar ki shahadat jo madine mein hui hai
phir aale mohamed pe qayamat ki ghadi hai
tukde kiya turbat mein mohamed ka kaleja
jafar ko diya zehr jo mansoor e shaqi hai
jafar ki shahadat jo...
bistar pa tadapte rahe shabbar ki tarha se
ek aag hai jo zehr ki shiddat se lagi hai
jafar ki shahadat jo...
sam seene mein jafar ke jo pahuncha hai khudara
dil tukde hai andar se koi chalti churi hai
jafar ki shahadat jo...
wo ilm ka khazzaan utha aaj jahan se
tafseer jo masoom ne quran ki ki hai
jafar ki shahadat jo...
jafar ke janaze pa hai yun moosiye kazim
ammama nahi sar pa yateemi ki ghadi hai
jafar ki shahadat jo...
sadiq ki shahadat pa hai shiyyon ka ajab haal
sar peet'te hai koyi kahin seena zani hai
jafar ki shahadat jo...
hai sarfe aza aap ki aulaad ke gham mein
ye matami sangat jo rasoole arabi hai
jafar ki shahadat jo...
hurr baade nabi aale nabi kaise guzaare
ummat hai nabi ki jo kabhi chayn na di hai
jafar ki shahadat jo...