Kanz e Aza

Kazim utha rahe hai jafer ka janaza

A noha for Imam Jaffer e Sadiq (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Haay jafer e sadiq (as) x4times


Kazim (as) utha rahe hai jafer (as) ka janaza

Haay Hussain (as) kehkar ansoo baha rahe hai.


1) taboot ko utha kar itne qadam badaye.

Har ek qadam pe unko sajjad (as) yaad aaye.

Abid (as) ki bebasi ka nouha suna rahe hai.

2) mansoor ne l.a ghiza Me zaher e jafa diya tha.


Mazloom ke badan par jiska asar hua tha.

Aflaak se malaaik pursey ko aa rahe hai.

3) nikla dahen se bahar aaye jigar jo kat kar.

Khoon rang ho gaya tha mola ka mere bistar.


Manzar ye ahle dil ke dil ko dhukaa rahe hai.

4) haider (as) se dushmani yeh ab tak nahi ruki hai.

Mola hasan (as) se lekar jafer (as) tak aa gayi hai.

Har ek charage zehra (as) zalim bhujaa rahe hai.


5)aulaad e sayyeda (as) Me aisa hai yeh janaza.

Jisme madine waale dene ko aaye pursa.

Ahle madina saare yeh gham mana rahe hai.

6)jafer (as) ke zahen me bhi Kazim (as) ka hai janaza.


Mayyat uthaane wala waris koi na hoga.

Zere kafan bhi Jafer (as) khoon roote ja rahe hai.

7) salman aur meesum dekha yeh khwaab kaisa.

Baad e zahoor mola mehdi (as) baaqi me aakar.


Zehra ka aur inka rouza bana rahe hai.


Kazim (as) utha rahe hai jafer (as) ka Janaza.

Haay hussain (as) kehkar ansoo baha rahe hai.


Haay jafer e sadiq x2times