Kanz e Aza

Kehta Tha Pani

A noha written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

laraib aag pani hai wo neimat e khuda

mumkin nahi ke shukr koi kar sake ada

lekin ye baat kaise koi bhool jayega

karbobala mein dono ka kirdaar kya raha

dono hi sharm saar ke aalam mein rehte hai

ek doosre ke tanz hum wakif sehte hai


kehta tha pani aag se tu ne kiya sitam

mumkin nahi kisi se jafa ho teri raqam

dar ko jalaya tu ne diya fatema ko gham

ibleesiyat se teri pareshan huwe haram

boli ye aag tu ne kiya khoon usool ka

tarsa hai khatre khatre ko kunba rasool ka

kehta tha pani aag se...


bola ye pani aati nahi tujhko kuch haya

jab tak imam zinda rahe tu ne kuch kiya

wo qatl hogaye to badi karne tu jafa

bewarison pe khol diya baab zulm ka

qaimon ko tu ne phoonk diya ban jala diya

ek chaar saala bacchi ka daaman jala diya

kehta tha pani aag se...


pardes mein rasool ka tu ne jalaya ghar

ghar jal gaya to aal kahan pe chupati sar

majboor ho ke baithi rahi jalti rayt par

saydaniyon ne zer e falak raat ki basar

uryan saron pe aada ki padti na yun nigaah

dewaar parda rehti agar hoti qaimagah

kehta tha pani aag se...


khafgi se aag kehne lagi ay jafa shiyaar

kis moo se kar raha hai khata meri aash kaar

tu wo shaqi hai jis ke liye shaahe naam daar

hujjat tamam karte rahe ran mein baar baar

tu maujein maarta raha aada ko khush kiya

ek bezaban pyaas ki shiddat se mar gaya

kehta tha pani aag se...


teri ata se saara jahan faiziyab tha

fauje yazeed par to karam be-hisab tha

tu mehre fatema mein khana kharaab tha

phir kyun usi ki aal par tera ataab tha

kya moo dikhayega sar e mehshar batool ko

dega jawab hashr mein kaise rasool ko

kehta tha pani aag se...


tu chaahta agar to kinare to tod kar

sailaab ki tarha se bikhar jaata khaak par

kar deta ghark lashkar e jor o jafa o shar

sibte nabi ke qadmon pe jaa kar jhukata sar

lekin tujhe azeez ye zeb e sipaah thi

aale nabi pe band magar teri raah thi

kehta tha pani aag se...


pani ye sun ke aag se yun taana zan hua

mujhko to chaar samt se ghere thay ashkiyan

tujh par koi na jabr tha phir bhi ay behaya

tu ne imam e waqt ka bistar jala diya

hukme bine ziyad se angaarein bhar diye

qaime nabi ki aal ke sab raakh kar diye

kehta tha pani aag se...


ay noor e ain e fatema zehra o buturab

tu ne kiya hai khoon se asghar ke jo khizaab

haqqa ke imtehan mein tehra tu kamiyab

bas ay hussain aaja mere paas ay shitaab

doori anees ko nahi achi anees se

aajao jald aa ke milo hum jalees se

kehta tha pani aag se...