Kanz e Aza

Pyaas Bachon ki

A noha written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

pyas bachon ki bhadak uth'ti pani dekh kar

sehm jaate thay magar eeza rasani dekh kar

pyas bachon ki…


kyun na rote naujawan bete ke laashe par hussain

zapt mumkin hi na tha khoon ki rawani dekh kar

pyas bachon ki…


kitni umeedein lagaye hongi maa behne phuphi

akbare gulgu-khaba ki naujawani dekh kar

pyas bachon ki…


haale asghar kuch na poocha maa ne bas roti rahi

chehra e shabbir par khoon ki nishani dekh kar

pyas bachon ki…


khaak par pani baha kar shaad hotay thay layeen

ahlebayt e paak ki tashna dahani dekh kar

pyas bachon ki…


kitna khasta haal tha abid ka daurane safar

khoon pisha kate thay bar baar bani dekh kar

pyas bachon ki…


dekhle maa baap sehra iska ay rabbe jaleel

ye dua deti thi laila har jawani dekh kar

pyas bachon ki…


seenazan shabbir ki majlis may pa kar ay anees

hai duago fathima ye nauhakhani dekh kar

pyas bachon ki…