pyaase ki aza ka jo tarafdaar nahi hai
paani ko bhi chhoone ka wo haqdaar nahi hai
ahmed ke nawase se jise pyaar nahi hai
jannat me qadam rakhne ka haqdaar nahi hai
sub milke karo dosto shabbir ka matam
farshe aza pe koi bhi deewar nahi hai
aakhoun se barasti hai ghata dil pe jo chhayi
kya samjhe usse wo jo azadaar nahi hai
dushman se aazadari ke bas faasla rakhna
hai azm to manzil koi dushwaar nahi hai
mazloom ke matam ka mukhalif hai jo issey
dil haath milane ko bhi taiyaar nahi hai
haj ki tarha se yeh bhi manaasik hai aza ki
duniya se hamey koi sarukaar nahi hai
mazloom ke zaqmou ka marham hai yehi aansu
ashke ghum-e-shabbir hai bekar nahi hai
asgher jihaad karte hai kis shaan se dekho
ladte hai magar haath me talwaar nahi hai
qasim ka hai matam qamo zanjeer ka matam
matam se azadaar to bezaar nahi hai
islam ka parcham hai ye abbas ka parcham
gazi se bada koi madadgaar nahi hai