Kanz e Aza

Pyare Nabi ka

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

pyare nabi ka pyara nawasa

chod ke ghar pardes chala

jo tha madine ka shehzada

chod ke ghar pardes chala


manzar manzar sannata hai

qaima qaima girya hai

kal tak jo kariya channa tha

aaj wo khariya veeran hai

kaabe ki jaan yasrab ka ujala

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


aankhein hui jaati hai samandar

chain na aaye sughra ko

jaane waale kab aayenge

kaun bataye sughra ko

kya kare dukhiya jhoole waala

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


raston sar par khaak udao

ay deewaron bain karo

kehdo watan waalon se ke aao

chaati peeto aah bharo

sibte payambar dilbare zehra

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


maango dua teeron mein na uljhe

mashke sakina darya par

be-baazu khoon mein na nahaye

chand sa laasha darya par

umme baneen ki aankhon ka taara

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


sughra ke alfaz hai aab mai

khud se lipat kar roungi

raatein jaag ke kaatungi

turbat mein hi jaa kar soungi

kis se bataun kyun mera kunba

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


ye jo diya nikla hai safar par

aandhi se mehfooz rahe

ya rab ye quran sa seena

barchi se mehfooz rahe

paigambar ki surat waala

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


maut gale lag jayegi

mujh beemar se sehat paane tak

yani mai bhi zinda hoon

is khaak ke khoon ho jaane tak

kunba mera ek zinda janaza

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


baal parehsan ho na khuda ye

phool kahin veerano mein

padne na paaye paon mein chaale

neel na aaye shaano mein

aayat aayat koi gharana

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...


ahle madina roye na roye

apne bichadne waale ko

nayyar o aamir saara zamana

royega ab is kunbe ko

wo apne har dard ka qissa

chod ke ghar pardes chala

pyare nabi ka...