rone ko jaaye bano e muztar kahan kahan
shauhar kahin pisar kahin dukhtar kahan kahan
zainab ne poocha shaah se bhaiya tumhare baad
tash'heer bhool jayegi khwahar kahan kahan
rone ko jaaye...
kufa baqi o maariya zindan e shaam mein
roti hai jaa ke shaah ki khwahar kahan kahan
rone ko jaaye...
uth'te hai sholon qaimon se mehsoor hai haram
pahunche madad ko dukhtare hyder kahan kahan
rone ko jaaye...
qasim ki laash bikhri hai ran mein kuch is tarha
pamaal tan ko dhoondenge sarwar kahan kahan
rone ko jaaye...
kar ke aseer aale mohamed ko be-khata
le kar gaya yazeed ka lashkar kahan kahan
rone ko jaaye...
is zindagi se maut hai behtar anees ko
khaata hai kitne thokarein dar dar kahan kahan
rone ko jaaye...