Roohe Shariyat Hai Yeh Gham.
Jaane Ibadat Hai Matam.
1. Hai Yahi Eema’N Hum Sabka.
Aik Hai Qura’N Aik Quda.
Padhte Hai Hum Jiska Kalma.
Uske Nawase Ka Hai Gham.
2. Majlis E Sarwar Jannat Hai.
Sabse Badi Yeh Nemat Hai.
Dil Meim Aik Hi Hasrat Hai.
Farshe Aza Par Nikle Dam.
3. Hai Mafhoom Mawaddat Ka.
Hai Yeh Qulasa Sunnat Ka.
Hai Yeh Taqaza Fitrat Ka.
Dil Mein Basalo Sheh Ka Gham.
4. Sabse Juda Hai Inka Muqaam.
Ashke Aza Hai Inka Naam.
Jhuk Ke Inhein Karte Hai Salaam.
Chashma E Kousar Aur Zam Zam.
5. Haq Pe Jiyo Aur Haq Pe Maro.
Zalim Ke Aage Na Jhuko.
Matam Sheh Ka Karte Raho.
Jab Tak Hai Seene Mein Dam.
6. Qasim Ibne Shabbar Asws., Ke.
Hum Hai Azadar Akbar Asws., Ke.
Matami Hum Hai Asghar Asws., Ke.
Hum Pe Hai Yeh Zehra Sa., Ka Karam.
7. Pehne Hue Ehraam E Aza.
Qafila Anjuman Asghari Ka.
Pohonchega Ek Din Karbobala.
Karta Hua Qooni Matam.
8. Kehta Hun Ehle Eemaa’N Se.
Laakh Nisha’N Ho Sajdo’N Ke.
Laazim Hai Jannat Ke Liye.
Seene Pe Ho Daaghe Matam.
9. Saqi E Kousar Ka Kunba.
Teen Dino Tak Tha Pyasa.
Shaane Kataye Labe Darya.
Qatl Hua Saqqa E Haram.
10. Kehte Raho Yawar Yeh Baat.
Thakte Nahi Matam Ke Haath.
Sardi Ho Garmi Ya Baraaat.
Thak Jaata Hai Har Mausam.
Az: Shayer E Ahlebait Janab Yawar Ali Yawar Sahab.