Kanz e Aza

Lipti Sumon se Karti

A noha written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

lipti sumon se karti thi masoom ye buka

ay zuljana ran may na baba ko leke ja


baaqi na koi muniso yawar watan se door

aise may kar na mujhse shahedeen ko tu juda

lipti sumon se…


darti hoo jo gaya wo nahi aaya laut kar

maqtal may leke jaa na inhe akse bawafa

lipti sumon se…


aa jaye mere ammu to lejana shauk se

rokungi phir na tujhko ye israr hai mera

lipti sumon se…


thaami lijaam sheh na kaha chal ay raahwaar

lekin khadam badaye na saakib khada raha

lipti sumon se…


maula sakina lipti hai paon se aan kar

dekhe to aap jhuk ke zara behre kibriya

lipti sumon se…


utre faras se kehte hue shaahe naamdar

bali sakina jaane do mujko paye khuda

lipti sumon se…


behla rahe thay maula sakina ko is tarha

nikli udhar qayaam se zainab barehna pa

lipti sumon se…