Kanz e Aza

Jafar ka Rone Walon

A noha for Imam Jaffer e Sadiq (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

jafar ka rone waalon taboot uth raha hai

phir fatema ke ghar mein farsh e aza bicha hai


kazim tadap tadap kar ye bain kar rahe hai

afsos mera baba mujh se bichad gaya hai

jafar ka rone waalon…


misle hassan jigar hai jafar ka tukde tukde

haakim ne zehr haye masoom ko diya hai

jafar ka rone waalon…


har zulm seh rahe hai jafar imam e sadiq

farzande sayyeda par kaisa sitam hua hai

jafar ka rone waalon…


har zulm kalmago ne sadaat par hai dhaaya

aulaad e mustafa par ghurbat ki inteha hai

jafar ka rone waalon…


qaid e sitam mein jafar rote hai shaah e deen ko

maula ki chashm e tar mein sehra e karbala hai

jafar ka rone waalon…


keh do muhib ye jaa kar kam zarf muftiyon se

sab se badi ibadat matam e hussain ka hai

jafar ka rone waalon…