aalame hasti pe faize abre gouhar baar hai
aamade kazim se har soo baarishe anwaar hai
jiske jalwo ki zia baari se roushan hai jahan
jo sifaate haq ka maz'har hai nabi aasaar hai
munkire haq ho nahi sakta kabhi aisa bashar
saatwe haadi ka dil se jis ko bhi iqraar hai
har nafs wirde zabaan ho musie kazim ka naam
ye na ho to zindagi phir aapki bekaar hai
fitrate masoom hai hargiz badal sakti nahi
dekhie chouda ke chouda ka wahi kirdaar hai
qouf kya keejiye bhala haalaat ke toofan ka
ho vilaae aale payambar to beda paar hai
ghair ki janib badhaata hi nahi daste talab
ye dare kaazim ka saail kis qadar quddaar hai
baat kya hai is pe bhi kuch ghour karna chaahiye
doure haazir ka musalma'n kyu zaleelo qaar hai
har yazeede waqt ka jisse dehel jaata hai dil
ek aseere zulm ki zanjeer ki jhankaar hai